Yaad,
Aj ghar ki yaad aari thi,
“Ghar”
Vaise to mai, us ghar mai hi thi,
Par Hur kone mai ab alag kahaani hai.
Papa aur Maa k chehre ki raunak Kam, ek kone mai chupi unki jawani hai .
Garmi ka Mausam Aur Pariksha dono ne sath mai bachpan mai Sir garam kar rakha tha.
Daftar Ka kaam liye Meri jawani, sir to aaj bhi garam hai, par sukoon nahi, Vo sukoon jo ek kone mai hai, jisne, mere bachpane ko chakha tha.
Paise Kam aur Ek Aam k kayi tukde hote the,
Us Ghar mai, Bhaiya didi k sath ladai kar k hi sote the.
Aj kamane ki daud mai, Na Aam k tukde hote hai Na ladai.
Ek kona jo chupke se roya tha, jisne dekhi thi meri didi ki bidai.
Ek Kona jo Khali pada hai,
Usmein Yaadon ko abhi bhi bharna hai
Par ab vakt kaha kisi k pas, Hur koi daud mai hai ye soche ki.
Zindagi ko behtar karna hai..
Ab us Ghar mai rehkar,
Hur Kona muje dekh Raha hai.
Thoda vakt nikalkar muje bhi sath nibhana hai.
Muje Mere is Ghar ko Ghar banana hai